Waqt ka kya hai badal jayega!
Ajkal ke halat bhaichare aur aman o chain ke liye sazgar nahi hai. Waqt hamesha ek sa nahi rehta, in halaato ko dekhte hue apna purana guzra hua waqt yaad karta hu to dil me ek sirhan si paida ho jati hai aur us kafiyat me dil phatne sa lagta hai. Wo daur aisa tha ki jab main apne hindu dosto ke sath kati hui patango ke piche bhagta tha, garmi ke dino me nahar par nahane jana, barsaat me sadak kinare lage jamun ke pedo par pathar markar pake jamuno ko girana aur bina dhoye kha jana, school se ate waqt kisi pathar ko laat se marte hue ghar tak le ana aur bhi bahut si baate jinka likhna meri likhne ki quwat se bahar hai, bahut si yaade maazi ke jharokhe me se jhankti nazar aati hain. Kabhi kisi dost ke rawaiyye se ya kisi baat se ye ehsaas nahi hua ki main musalman hun, kabhi kisi ne koi bhedbhav nahi kiya tha. Apsi bhai chare ki pata nahi kaun si ghutti pi hui thi ham sabne ki, wo log jab tak diwali ke patakhe jalane shuru nahi karte the jab tak main na aa jau ya holi ke rang unke...