Waqt ka kya hai badal jayega!

Ajkal ke halat bhaichare aur aman o chain ke liye sazgar nahi hai. Waqt hamesha ek sa nahi rehta, in halaato ko dekhte hue apna purana guzra hua waqt yaad karta hu to dil me ek sirhan si paida ho jati hai aur us kafiyat me dil phatne sa lagta hai. Wo daur aisa tha ki jab main apne hindu dosto ke sath kati hui patango ke piche bhagta tha, garmi ke dino me nahar par nahane jana, barsaat me sadak kinare lage jamun ke pedo par pathar markar pake jamuno ko girana aur bina dhoye kha jana, school se ate waqt kisi pathar ko laat se marte hue ghar tak le ana aur bhi bahut si baate jinka likhna meri likhne ki quwat se bahar hai, bahut si yaade maazi ke jharokhe me se jhankti nazar aati hain. Kabhi kisi dost ke rawaiyye se ya kisi baat se ye ehsaas nahi hua ki main musalman hun, kabhi kisi ne koi bhedbhav  nahi kiya tha. Apsi bhai chare ki pata nahi kaun si ghutti pi hui thi ham sabne ki, wo log jab tak diwali ke patakhe jalane shuru nahi karte the jab tak main na aa jau ya holi ke rang unke liye mere baghair phike hote the. Kai dosto ke walid (father) musalsal taur se shakha jate the ya yun kahu ki RSS ke the lekin majal hai jo ajtak mujhe aisa mehsus hone diya ho ki main musalman hun ya apne bachho se ye kaha ho ki is se mat mila karo ye muslim hai. Balki har taur tarike se madad ke liye tayyar rehte the. Main to us waqt bahut chota tha shayad 7 sal ka 1992 me babri masjid ko giraya gaya. Meri, aur ek aur family colony ke 18 parivaro me akele muslim the, shahar bhar me curfew tha, halaat bahut achhe nahi the, lekin colony ke sab hindu bhai hamara haunsla badhate rahe aur mere ghar walo ko dilasa dete rahe. Ek aunty jo mere dost ki mummy thi aur hamare niche wale ghar me rehti thi unhone meri mummy se kaha ki agar koi tumhare liye aya to use pehle mera samna karna padega, bas ye kahna hi bahut hota hai ek dare hue insan ke liye. Is hamdardi ke liye bahut bade dil ki zarurat hoti hai jo sabke bas ki baat nahi ho sakti. Ajkal ke logo ke dil nafrat ki maar se bahut chote ho gaye hain shayad isliye aisa shayad dekhne ko nahi milta. 

Comments

Popular posts from this blog

Prophet Ibrahim (as) and the helping bird… every contribution matters in the eyes of Allah....

Mango cultivation in Amroha - how to increase its productivity

Life Sustains Life….. God makes a system like this