Aye dost Ibn e Saqi e Kausar Hussain hain...
Fazail
e Imam Hussain (as) a Noha by Meer Anees,
Is nohey main shayar ne
Imam Hussain alehissalam k fazail is tarah se pesh kiye hai ki unhe pehchana ja
sake ki unka kya martaba tha
Aye dost Ibn e Saqi e Kausar Hussain hain
Jaan e batool Sibt e Payambar Hussain hain
Or hazrat e Hasan ke Baradar Hussain hain
Mukhtar Khan khana e Dawar Hussain hain
Ham Aasiyo ka Shafa e mahshar Hussain hain….
Wo hai Hussain jiski Khuda ne sana kahi
Qura’n main kitni ayatey hain uski shan ki
Khaliq ko kya aziz thi khatir Hussain ki
Fitrus ki jo khata thi wo ekdum main baksh di
Maula Hussain Deen ka Rahbar Hussain hain….
Wo hain Hussain yani ki jab khurd saal tha
Roza rakha na ma aka piya dudh mutlaqa
Kiya khatir e Hussain ki Khaliq ko barmala
Waqt e zawal tha jo diya mahar ko chupa
Kya bahar e ata ka sanawar Hussain hain…
Wo hain Hussain jiske liye moti do hua
Wo hain Hussain jisko di Jibreel ne Sada
Jhula jhulaya aan ke aj hukm e kibriya
Or mewa e bahisht diye la ke barmala
Mehbub e haq ka ashiq e dawar Hussain hain..
Complet chahiye
ReplyDelete